Friday, July 30, 2010
Saturday, July 17, 2010
uske bin
jindagi ek ajeeb kissa
Thursday, July 15, 2010
yaaden
Yeh mohabbat bhi kya cheej hai,
Kabhi dard hai to kabhi dawa hai,
Na mile to veeran si lagti hai,
Milkar bichhad jaye to toofan si lagti hai,
Kabhi aankhon me intejaar hota hai,
Har waqt dil bekarra hota hai,
Pata hota hai ki who ewafa hai,
Fir bhi har jakhm sahne ko taiyaar hota hai,
Ajeeb se khwab dikhati hai mohabbat,
Kabhi hasati ti kabhi rulaati hai mohabbat,
Bekarari ke lamho me bas aapka hi khyal hota hai,
Kabhi ham takiye par kabhi takiya ham par sota hai,
Ek diye ki tarah lagti ho tum harpal,
Jiski lau se jeevan guljaar hota hai,
Teri aankhen teri baatenyeh pyaar k hi kamaal hai,
Warna inke bina jeevan bekaar hota hai.
Kabhi lagta hai agar tum na mili hoti,
Toh shayad jindagi me har cheej ki kami hoti,
Jeete ham tanha din raat aansoo bahakar,
Bas aankhon me intejaar ki bekarari hoti,
Apne aap ko khoya sa mahsoos karta hoon,
Pata nahi kis taraf le jaa rahi hai jindagi,
Kaise kaise rang aur halat dikha rahi hai jindagi,
N chahte hue bhi roya sa mahsoos karta hoon,
Kabhi lagta hai ki who bachpan ke din acchhe the,
Aankhon me base har khwaab sachhe the,
Na fikra thi kal kin a duniya ki,
Mata pita ki ungaliyaan pakadkar sahaj mahsoos karta tha,
Unki fikra dekhkar garv mahsoos karta tha,
Kabhi to sonchta hoon kya hai yeh jindagi,
Jo apne ishaaron par nachaati hai hame,
Yaha ke riwaj rishte rang roop,
Vastwikta ka aaina dikhati hai hame,
Apni pahchaan khone sa laga hoon,
Raah chalet tanha sa hone laga hoon,
Kis baat ki fikra kya gam hai mujhe,
shayad iska pata mujhe khud bhi nahi,
Na chahte bhi rone laga hoon,
Yaad aate hain who bachpan ke din
Jo ab shayad ab kabhi bhi apne na ho,
Kal ki shrarte who rona who hasnajaise aaj ke dekhe sapne ho,
Aur aaj aise mukaam par hai jindagi,
`na koi manjil na koi rasta najr aata hai,
Yaadon ki kya baat karun khud se ,
Yeh jakhm bhi hai aur nasoor bhi,
`khushi ke pal me yeh dard to dete hi hain,
Dard me ho to palke bhigo dete hain,
Aisi yaadon ke sahare jindagi chal rahi hai,
Na jaane kab iska ant hoga,
Isi khwahish me jindagi kat rahi hai,
Kabhi na kabhi hasta hua pal hoga,
jindagi
Ab to bojh si lagti hai jindagi,
Har pal me bekarari si lagti hai,
Har yaad bewafa si lagti hai,
Gujrate the jo pal hasne hasane me,
Aaj sadiyan lag jati hain unhe samet pane me,
Ek lamhe ko yaadgaar banana ki koshish me,
Ret si fisalne lagti hai jindagi,
Ab to bojh si lagti hai jindagi,
Jindagi ke dard ko kaun samajh paya hai,
Koshish ki jisne wahi dhokha khaya hai,
Umra ke is daur me aakar
hamne jana,kya khoya kya paaya hai,
ek jam me bhare paimane si lagti hai jindagi,
ab to bojh si lagti hai jindagi.
Wednesday, July 14, 2010
raah chalte khud se bekhbar bana diya,
dikhakar khwab haseen sapno ke hame,
aankhon me dard ka manjar basa diya,
teri chahat ke saath jee rahe hain,
dard ka ashq har waqt pee rahe hain,
har ssans me bas teri hi yaad hai,
aur kya batayen kaise jee rahe hain ham,
yeh waqt bhi kaise kaise khel dikhata hai,
do anjaane dilon ko kareeb lata hai,
chahat me kho jaate hain ek doosre ki,
tabhi waqt ka toofaan aa jata hai,
bahakar le jaata hai har yaad ko,
ansuni kar deta hai har fariyaad ko,
ek jhalak paane ko tadpate hain jindagi bhar,
chhod jata hai bas dard bhare jajbaat ko,
jindagi ka safar suhana ho,
har koi yahi chahat rakhta hai,
u,mra lag jaati hai inhe banane me,
har sitam ko hans kar sahta hai.
